PDF to JPG Converter
PDF ke har page ko JPG image me badlein. File aapke device par hi convert hoti hai, kisi server par upload nahi hoti.
Preview
Image par tap karke bada dekhein. Jo page chahiye uspar tick lagayein.
Download ka format
Dono option isi format me download honge.
Option 1: Apna page chunein
Jo page chahiye uspar tick lagayein. Ek page seedha milega, kai page ZIP folder me.
Option 2: Sab ek saath
Saare pages ek ZIP folder me aayenge.
PDF ko JPG me kaise badlein
- PDF file chunein ya drag karke chhodein.
- Size ka tarika chunein: original page, pixels (px) ya centimeter (cm). Quality bhi chunein.
- “Convert karein” dabayein.
- “Preview dekhein” dabayein, phir ya to apna page chunkar download karein, ya sab ek saath folder (ZIP) me le lein.
Agar JPG ki size KB me kam karni hai (jaise 20KB, 50KB ya 100KB), to neeche ke resizer use karein.
Aksar puche jaane wale sawal
Kya meri PDF kisi server par upload hoti hai?
Nahi. Convert karne ka kaam aapke browser me hota hai, isliye file aapke phone ya computer se bahar nahi jaati.
Kya is par watermark lagta hai?
Nahi, JPG images bina watermark ke milti hain.
Multi-page PDF ka kya hoga?
Har page ki alag JPG image banti hai. Preview me jo page chahiye uspar tick lagayein, ya sab pages ek ZIP folder me download karein.
JPG ka size px ya cm me kaise chunein?
“Size ka tarika” me Pixels ya Centimeter chunein, phir width aur height likhein. cm ke liye DPI bhi chunein. Ratio ka tick hataya to image exact size me kheench jaayegi.
JPG ki file badi aa rahi hai, kaise kam karein?
Image size “Chhoti” aur quality “Kam” chunein. Phir exact KB chahiye to JPG ko hamare KB resizer me daalein.
Password wali PDF convert hogi?
Nahi. Pehle PDF ka password hata kar file save karein, phir convert karein.